Friday, 7 January 2011

Jindagi.

Jindagi har pal ek Naya ehsaas hai,
kabhi sabse aam to kabhi sabse khas hai,
Jindagi ek lamba safar hai,
Log karte is jeevan ki kadar hai,
Jindagi ek Kori Kitab hai,
Jisme hum bharte apne jazbat hain
Kabhi suhani si Subah ,
to kabhi kali si darwaani Rat hai
Kabhi pal bhar ki khushi ,
to kabhi Gamo ka Sailab hai
Kabhi Bhari Sa Bojh hai,
to kabhi Pyari see awaz hai,
Kabhi Masoom sa chehara hai,
to kabhi Ghinauna sa Nakab hai,
Kabhi haseen Chandani Raat,
to kabhi Darawana sa Khwab hai,
Kabhi apnepan ki khushi ,
to kabhi pyara sa ehsaas hai,
kabhi ek antahvyatha ,
to kabhi hassen mulakat hai,
Kabhi age humse meelon door khadi hai ye,
to kabhi lage ki ekdum humare pass hai,
Kabhi deti mausam patjhad k ,
to kabhi deti mehfil aur saaz hai,
kabhi sukh k sab sadhan ,
to kabhi kathin pareksha ki aag hai,
Kabhi kisi kahani ka dukhad anta hai,
to kabhi kisis kahani ka sukhad shuruaat hai,
in sab k baad bhi hume nahi pata ki,
Jindagi tujhme kya Raz hai,
Par tu jo bhi hai meri jindagi hai,
Aur mere sath hai.

11 comments: